Welcome to Sagar Pardesi's World | خوش آمدید: ساگر پردیسی کی قلمی دنیا میں
Pardes mein insan sirf paisa kamane nahi aata balki woh yahan rozana apni ana apne jazbaat aur apni khwahishat ki qurbani bhi deta hai. Watan se door, apno ke yaadon ke sahare jeena kitna mushkil hai, yeh sirf ek pardesi hi samajh sakta hai. Aaj main aapko apne qiyam-e-pardes ke doran pesh aane wala ek aisa waqya sunata hoon jisne meri zindagi ki soch badal di.
Ek chhote se kamre mein chaar pardesi dost rehte the Chaaron alag alag shahron se the lekin pardes ki tanhai ne unhe sage bhaiyon se badhkar bana diya tha. Unka ek sunehra usool tha ke chahe zameen aasman ek ho jaye woh raat ka khana hamesha ek sath dastarkhwan par baith kar khayenge.
Is kamre ke ek kone mein darwaze ke bilkul paas ek purani lakdi ki kursi rakhi thi jo hamesha khali rehti thi. Koi bhi us par nahi baithta tha Ek din kamre mein ek naye aane wale sathi ne hairat se pucha Yaar! Yeh kursi tum logon ne yahan kyun rakhi hai? Na tum us par baithte ho na us par saaman rakhte ho Ise yahan se hata kyun nahi dete?
Kamre ke sabse samajhdar sathi ne muskura kar jawab diya
Bhai! Yeh kursi hum ne apne 'gusse' aur 'ana' ke liye rakhi hai
Usne wazahat karte hue kaha Dekho, hum sab din bhar bahar logon ki talkhiyan sunte hain garmi mein tapte hain aur thakan se choor ho kar aate hain Hum ne yeh tay kiya hai ke jo bhi kamre mein dakhil hoga woh apna sara gussa aur bahar ki tamam jhanjhalahat is khali kursi par chhod kar andar aayega Is kursi ke us paar hum sirf majboor pardesi bhai hain jinka ek doosre ke siwa koi sahara nahi hai Hum nahi chahte ke bahar ki kadwahat hamare is chhote se thikane ka sukon barbad kar de
Is din ke baad is kamre mein kabhi oonchi aawaz mein baat nahi hui Woh lakdi ki be-jaan kursi unke sukon ki pehra-daar ban gayi thi.
Is tehreel se hamein yeh sikhne ko milta hai ke zindagi mein aksar hum se ek badi galti hoti hai hum kisi ek ka gussa doosron par utarte hain aur apne ghar ya apne room ka mahol kharab karte hain. Bahar sadak par daftar mein ya kisi ajnabi se milne wali talkhi ka badla hum apne in sathiyon aur pyaron se lete hain jinka koi qasoor nahi hota Sirf isliye ke woh hamare apne hain aur hamein pata hai ke woh hamein palat kar jawab nahi denge Pardes mein kamre toh chhote ho sakte hain lekin agar hum apne zarf bade kar lein aur doosron ka gussa apno par nikalna chhod dein toh wahi kamre aur ghar jannat ban jaate hain.
Aapki duaaon ka talabgaar Sagar Pardesi
Aik pardesi hi ap ki bt smjh skta ha sir bht acha likha ha ap ne 😌
ReplyDelete