Welcome to Sagar Pardesi's World | خوش آمدید: ساگر پردیسی کی قلمی دنیا میں
Sabse takleefdeh pehlu woh "jhootha bayania" hai jis mein yeh dawa kiya jata hai ke "hum ne to tum mein aur apne sage behan bhaiyon mein kabhi koi farq nahi kiya". Sach to yeh hai ke jo log baar baar yeh jatlane par majboor hon, asal mein wahi farq ki buniyad rakh rahe hote hain. Yeh jumla darasal ek dhaal hai, jis ke peeche chup kar woh aap ko apni marzi ke mutabiq chalana chahte hain. Darasal baat yeh hai ke jab tak aap haq ki baat nahi karte aur unki har "haan" mein "haan" aur "ji" mein "ji" milate rahoge, tab tak aap unke liye sab se pyare ho. Lekin jaise hi aap sach ka rasta chunte hain, to afsos ke woh rishte aap se kho jate hain, kyunki unka rishta aap ki shakhsiyat se nahi, balki aap ki khamoshi aur unki marzi ke tabe rehne se tha.
Jab aap unki har baat mante rahein, tab tak aap "saga bhai" hote hain, lekin jyun hi aap apni khuddari dikhate hain to foran aap ko tana diya jata hai ke "tum badal gaye ho". Yeh kitna ajeeb tazad hai ke khud woh rishtedar, jo aap ko har mor par paraya sabit karne ki koshish karte hain, ilzam aap par thop dete hain ke farq aap kar rahe hain. Yeh aisa hi hai jaise koi gaadi ka steering khud tham kar, ghalat raste par gaadi chalaye aur ilzam musafir par laga de ke woh kyun khamosh hai?
Pardes mein baitha banda jab in baton ko sunta hai, to use dukh is baat ka nahi hota ke unhon ne kya kaha, balki iska hota hai ke barson ka sath aur khuloos, unki is ek "jatlane wali" ada ke aage kitna bebas hai. Sache rishte kabhi jatlaye nahi jate, woh to amal se jhalakte hain. Jin rishton mein "maine tere liye yeh kiya" ka hisab kitab ho, woh rishte nahi balki saude bazi hoti hai.
Aaj main yeh samajh gaya hoon ke jo log aap ko baar baar yeh bawar karwayen ke "hum ne tumhe kabhi paraya nahi samjha", darasal woh apni kamzori chupane ke liye aap ko ek aisa rishtedar bana kar rakhna chahte hain jo unki har baat par sar tasleem-e-kham kare. Pardes ki zindagi ne mujhe yeh sikhaya hai ke ab in naqli kirdaron ko stage se utaar kar, unko haqeeqat ki sarak par chalna sikhaya jaye. Ab is safar mein jo sath chalega, wahi mera hai, aur jo apni drama sazi ke shor mein hi magan rahega, use uski apni manzil par chhodna hi behtar hai.
Aap ko yeh tehreer kaisi lagi? Apni qeemti rai se zaroor aagah kijiyega. Aap ke tabsaron ka shiddat se intezar rahega.
Comments
Post a Comment